Yeh video fana fi rasool ka maqam kaise hasil hota hai? K bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ka talbeen e haq se rohani khitab jis mein apne fana fi rasool ka maqam kaise hasil hota hai k bare mein detail k sath bayan furmaya hai.apne irshad furmaya k “allah ne insan k andar ko 7 makhluqat rukhien un mein aik makhluq shetani aa gaie,jis ko nafs kehtay hain.jab nafs jism mein aaya to yeh jism na pak ho gaya.aub jab tak yeh nafs pak nahin hota insani jism pak nahin ho sukta.is ko pak karny k leye murshid e kamil zikr e qalb ko jari karta hai phir zikr e qalb ka noor sary jism mien,khoon mein chula jata hai.nafa naar k maqam par hota hai,who noor is ko ghair laita hai,nafs ki khorak naar hai jo ham khana khatay hain ya hawa k zareye andar jati hai.jab woh naar andar jati hai to woh allah allah ka noor us ko jula daita hai.phir jab us nafs ko bhook lugti hai to phir woh andar ki rohani makhluqat se kehta hai k kuch khorak do jeenay ka leye,woh kehtay hain k yeh noor hi kha lay,phir woh sirf zinda rehnay k leye noor khata hai.lekin phir woh noor khatay rehnay se us mein tabdeeli aany lugti hai.pehlay us ka rung black hota hai aur woh kutay ki shukal mein hai.noor k asar se phir woh white ho jata hai,phir us ki skhukal bail ki tara,bukray ki tara ho jati hai.phiar aakhir us ki shukal us insan ki tara ho jati hai jis ka woh nafs hota hai.phir aap namaz purain gai to sath woh b namaz purta hai,ap zikr e allah karian gai to sath sath woh b zikr karay ga.phir us ko pukar ka murshid e kamil Hazoor Pak (s.a.w.w) ki bargah mein lay jata hai.phir Hazoor Pak (s.a.w.) aur hazreen afreen afreen kehtay hain,us par aur us k murshid k par,aik aik na pak kutay ko pak kya insan banaya aur meri mehfil mein lay aaya.phir hazoor pak (s.a.w.w) us ko koi maqam atta furma daitay hain.yeh fana fi rasool ka maqam hota hai.