¡Sorpréndeme!

Insan Allah Ka Raaz Kaise Bana? | Insan Ki Azmat | FH Offical

2025-03-23 1 Dailymotion

Yeh video insan allah ka raaz kaise bana aur insan ki azmat k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ka talbeen e haq se rouhani khitab jis mein apne insan ki azmat ko bayan furmaya aur insan k undar allah k raaz kya hain aur kaise insan allah ka raaz bana k bare mein irshad furmaya.apne furmaya k allah ne isnan ko bohat dour behja aur apne sath rabita karne k leye us k undar aik telephone b luga deya k ager is ko muj se rabita ki zaroorat hui to apne is phone ko on kar lay ga.yeh insan ka qalb aik mobile phone ki tara kam karta hai lekin us waqt jab is mein noor ho.phir apne irshad furmaya k ager tum logo ko pata chul jaey k allah ne tumhary undar kya kuch rukha hai to tum sub dunyadari chor kar jungle mein allah k leye chulay jao.hazrat Ali a.s ka furman hai k “Insan k undar aik jahan bund hai.”insan ki azmat ka bayan furmaya k allah ne is k undar 7 rouhani makhluqat rukhi hain k ho sukta hai k is ko jannat ko dekhny ka shouq ho to woh apne lataifa e qalb ko powerful kar lay ga aur jannat ko dekh lay ga.ho sukta hai k is ko allah ko dekhnay ka shouq ho to woh apne latifa e Anna ko taqatwar kar lay ga aur allah ka deedar kar lay ga.jis tara jin aur farishty hain isi tara woh makhulqat insan k undar mojood hain,lekin woh so rahi hain un ko allah k zikr aur noor se jaga kar parwan churna purta hai.phir jab woh insan k jism mein taqatwar ho jati hain to jism se nikal kar apne apne maqaam par chuli jati hain.allah ne insan ko apna raaz isi leye kaha hai k us ne insan k undar 7 jahano se aik aik rouhani makhluqat ko insan k undar bund kar deya hai.