Pathik
Ek pathik aaya saur mandal se
Nai jivan ki talaash mein
Dhundhta hua ek thikana
Use talaash thi, nai jivan ki
Prithivi ke patal par chhaya
Timir ko mitane
Ek anveshan
Naye jivan ki shuruwat
Kahan se aaya, kahan jayega
Aanewala kal, sab kuchh batlayega
Nishanta jivan ki trishna
Mita rahi thi prakriti ki kolahal mein
Phir pathik se puchhta hai
Kaun hai uska vidhaata
Jivan mrityu ke samagam se
Shrishti hoti hai nayee jivan ki aasha
Wah praudh manav tha
Aadim akritiwala
Akashra bhujayen lapet rahi this
Prithivi ke vakshasthal ko
Wahi shishu manav khelta raha
Prakriti ki god mein.
ramesh rai
http://www.poemhunter.com/poem/pathik/