Kabhi woh apni zulfon se khelte hain
Aur kabhi meri taqdeer se khelte hain
Chehre par shikan toh nahi phir bhi
Zaroor kuch saaye dard ke khelte hain
Aao chalo us bachpan mein phir se
Aao chalo mil jhul ke khelte hain
baazaar mein mila na aisa khilona
So roz woh mere dil se khelte hain
hathon ki lakeeron par piroye jo kesu
Kaale baadal muqaddar pe khelte hain
Khuda tera bhagwan hai mera phir bhi
Khoon ki holi kyun hum ye khelte hain
Hai woh ranayee teri ghazal mein Talab
Sukhanwar aur faqat alfaaz sey khelte hain
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/kabhi-woh-apni-zulfon-se-khelte-hain-ghazal/