Aajkal khun mein pehli si rawani na rahi
bachpan bachpan naa raha, jawani jawani na rahi
Qya libas kiya tyohar kiya riwazon ki kahen
apne tamddun ki koi nishani na rahi
badalte daur mein haalat kuch ho gaye hain yun
haqiqat haqiqat na rahi, kahani kahani na rahi
Is kadar chaa gaye hum par ajnabi saaye
apni zubaan tak hindustani na rahi
apno mein bhi gair ka ahsaas hai imroz
ab pahli si khushhal zindagani na rahi
Mujhko to har manzar ek sa dikhta hai 'deepak'
raunak raunak na rahi, veerani veerani na rahi
@Kavi Deepak Sharma
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //www.kavideepaksharma.com
Kavi Deepak Sharma
http://www.poemhunter.com/poem/aajkal-khoon-me-pahle-si-rawaani-kavi-deepak-sharma/